Sunday, 19 June 2011

INSAAN

INSAAN
InsaanoN meiN kuchh who haiN jo shaaheen ki tarah aasmaanoN mein mahv-e- parvaaz rahte haiN. Oonche aur buland aasmaan par urte urte unki nazar zameen par rengne wale apne jaise lekin kamzor insaanon par rahti hai. Mauqa milte hi woh zameen par aate hain aur jhapatta maar kar apna shikaar karte hain. Phir use oonchi cattanon par le ja kar khaate hain. Akele.

Insaanon mein kuchh aise bhi hain jo darakhton ki tarha oonche ho kar aasmanon se baaten zaroor karte hain lekin zameen se rishta qayam rakhte hain. Jaron se jure rahte hain. Jo lete hain us se zyada zameen ko lauta dete hain, (phal,saya aur hazaaron deegar cheezon ki shakl mein).

Aur zyaadah tar log bas baunon ki tarha neeche hi neeche ugte aur mar jate hain.

Aao aayeene ke sammne chalte hain. Dekhen ham kaun se insaan hain.

Shakil Akhtar

2 comments:

  1. Shaheen has been the most favourite bird of Sir Iqbal and he illustrated it in his poetry extensively.

    Tu Shaheen hai , parwaaz hai kaam tera ,
    Teray saamnay Aasmaan aur bhi hain.

    Mazhar

    ReplyDelete
  2. I am sad that it clashed with the way Allamah describes this magnificent bird. I wanted to use Gidh (Vulture) but realised that these only eat murdaar and decided in favour of Shaheen. If you look at it, Shaheen HAS a steek of cruelty and it doe do what some of my leaders,the likes of Zardari, Advani, Modi, Raja do, they eat live people those they lead. I had them in mind when I wrote it.

    ReplyDelete

kindly be modest in your comments.