Monday 13 June 2011

Yesterday we attended a mahfil-e-mushayra in Auckland.One Shayra Farhat Iqbaal had her First book 'Tanhaayi ke Makaan mein' launched. A Nazm from this Majmua-e-Kalaam.

CHALO JEE BHAR KE ROTE HAIN

Chalo phir saath baethen baat karte hain puraani phir
Parhen ham dosti ke baab, dohraayen kahaani phir
Tumhen shikwe the kuchh ham se
Unhen tum bhi bhula daalo
Karo tum yaad awwal woh ghari apni mohobbat ki
Hamen bhi yaad hai saa-at woh pahli apni qurbat ki
Hamaare gham hain mushtarka, khushi bhi ek jaisi hai
Dilon mein jazbaye furqat ki hiddat ek jaisi hai
Chalo ham aansuon se dil ke saare daagh dhote hain
Mile hain baad muddat ke chalo ji bahr ke rote hain

1 comment:

  1. Ab purani raahon par mat jaana,
    Puraani kahaanian mat dohraana,
    Sirf tumahara zahan wahi hai ,
    Ab sab badal chuka hai ,
    Saleem Khan sach kahtay hain ,
    Ab sirf Man chalta hai,
    Aur tattu nahin chalta.


    Saheb Ye Lotnay ki Shaairi , Purani Baatain dohranay ki Shaari sirf " Escapism " lagti hai Haqeeqat say bahut door.

    ReplyDelete

kindly be modest in your comments.