Friday 27 May 2011

AAP BEETI

Ye to naheen ki Gam naheen
haan meri aankh nam naheen

Tum bhi to tum naheen ho aaj
Ham bhi to aaj ham naheen

Ab na Khushi ki hai Khushi
Gam kaa bhi ab to Gam naheen

Maut agarchay maut hai
Maut say zeest kam naheen

Firaq Gorakhpuri



फ़िराक   साहेब  जब  अपने  रंग  मैं  कलाम  कहते  हैं  तो  आप  सिर्फ  वाह  वाह  ही  कह   सकते  हैं 


मुद्दतें  गुजरीं  तेरी  याद  भी     आई   ना  हमें ,
और   हम  भूल  गए  हों   तुझे  ऐसा  भी  नहीं .




ये  कैफिअत   हम  महसूस  कर  सकते  हैं   मगर  बयान  करने  के  लिए     फ़िराक  ही  दरकार  हैं...



1 comment:

  1. Raghupati Sahaaye (Firaq) was most certainly one of the greatest shayers. (Now I hardly qulify to assess persons like him, but ..)
    This is a beautiful ghazal you have shown us.Beauty is in simplicity and elegance. This ghazals exhibits both.
    Maut agarchay maut hai
    Maut say zeest kam naheen

    Zaoq ne kaha tha: Ab to ghabra ke yeh kahte hain ke mar jayen ge....

    ReplyDelete

kindly be modest in your comments.